waiz4u Shayari: Hai ajeeb shehar ki zindagi --Bashir Badr expr:class='"loading" + data:blog.mobileClass'>
Powered By Blogger

Wednesday, October 29, 2014

Hai ajeeb shehar ki zindagi --Bashir Badr

Hai ajeeb shehar ki zindagi na safar raha na qayaam hai
 KahiN karobar si dophar kahiN badmizaj si shaam hai
 
Kahan ab duaoN ki barkateiN wo naseehateiN wo hidayateiN
 Ye zaroratoN ka khuloos hai ye mataalboN ka salaam hai
 
YuN hi roz milne ki aarzoo badi rakh rakhaao ki guftgu
 Ye sharaafateiN nahiN be gharaz use aapse koi kaam hai
 
Wo dilom meiN aag lagaayega mein diloN ki aag bujhaunga
 Use apne kaam se kaam hai mujhe apne kaam se kaam hai
 
Na udaas ho na malaal kar kisi baat ka na khayal kar
 kai saal baad mile haiN hum tere naam aaj ki shaam hai
 
Koi naghmadhoop ke gaaoN sa koi naghma shaamki chhaoN sa
 Zara in parindoN se poochhna ye kalaam kis ka kalaam hai.






No comments:

Post a Comment