waiz4u Shayari: Abhi wo kamsin ubhar raha hai-Ghazal By Ghazal Samrat Jagjit Singh expr:class='"loading" + data:blog.mobileClass'>
Powered By Blogger

Saturday, November 22, 2014

Abhi wo kamsin ubhar raha hai-Ghazal By Ghazal Samrat Jagjit Singh

 Abhi wo kamsin ubhar raha hai
     Abhi hai us par shabaab aadha
     Abhi jigar meiN khalish hai aadhi
     Abhi hai mujhpar etaab aadhaa

     Mere sawaal-e-wasl par
     Tum nazar jhuka kar khade huye ho
     Tumhi bataao ye baat kya hai
     Swaal poora jawaab aadhaa

     Laga ke laare pe le to aaya hooN
     Sheikh sahaab ko maiqade tak
     Agar ye do ghoont aaj pii leiN
     Milega mujhko sawaab aadha

     Kabhi sitam hai kabhi karam hai
     Kabhi tawajjo kabhi tagaaful
     Ye saaf zaahir hai mujhse ab tak
     Huya hooN maiN kaamyaab aadhaa.


No comments:

Post a Comment