waiz4u Shayari: Dil hi to hai na sang-o-khisht dard se bhar na aaye kyoN expr:class='"loading" + data:blog.mobileClass'>
Powered By Blogger

Wednesday, November 19, 2014

Dil hi to hai na sang-o-khisht dard se bhar na aaye kyoN


       Dil hi to hai na sang-o-khisht dard se bhar na aaye kyoN?
        Royeinge hum hazaar baar, koi hameiN sataaye kyoN?

      Dair nahiN, haram nahiN, dar nahiN, aastaaN nahiN,
        Baithe haiN rehguzar pe hum, ghair hameiN uthaaye kyoN?

      HaaN wo nahiN khuda parast, jaao wo bewafa sahi,
        Jisko ho deen-o-dil 'azeez, uski gali meiN jaaye kyoN?

      'Ghalib'-e-khasta ke baghair kaun se kaam band haiN?
        Roiye zaar-zaar kya, keejiye haaye-haaye kyoN?



No comments:

Post a Comment