waiz4u Shayari: Ghulam ali--Ghazal expr:class='"loading" + data:blog.mobileClass'>
Powered By Blogger

Monday, November 3, 2014

Ghulam ali--Ghazal


 Faasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha
 Saamne baitha tha mere aur wo mera na tha
 
 Wo ki khushboo ki tarah phaila tha mere chaar-suu
 MaiN usse mehsoos kar saktaa tha chhu saktaa na tha,
 
 Raat bhar us ki aahat kaan meiN aati rahi
 Jhaank kar dekha gali meiN koi bhi aaya na tha,
 
 Aks to maujood the par aks tanhaai ke the
 Aaina to tha magar us meiN tera chehraa na tha,
 
 Aaj us ne dard bhi apne alahdaa kar diye
 Aaj maiN royaa to mere saath wo royaa na tha,
 
 Ye sabhi viraaniyaaN us ke judaa hone se thiiN
 Aankh dundhalaai hui thi shahr dundhlaaya na tha,
 
 Yaad karke aur bhi takleef hoti thi 'Adeem'
 Bhool jaane ke siwa ab koi bhi chaara na tha,
 
 

No comments:

Post a Comment