Justujoo jis kee thi us ko to naa paayaa humne
Is bahaane se magar dekh lee duniyaan humne
Tujhkko rusawaa naa kiyaa, khud bhi pashemaaN na huye
Ishq kee rasm ko, is tarah nibhaayaa humne
Kab mili thi, kahaa bichhadee thi, humeiN yaad nahi
Zindagi tujhko to bas khwaab meiN dekhaa humne
Aiye adaa aur sunaaye bhi to kyaa haal apanaa
Umar kaa lambaa safar, taiy kiyaa tanahaa humne.

No comments:
Post a Comment