waiz4u Shayari: Khird-MandoN Se Kya Puchho -Ghazal By Iqbal expr:class='"loading" + data:blog.mobileClass'>
Powered By Blogger

Wednesday, November 5, 2014

Khird-MandoN Se Kya Puchho -Ghazal By Iqbal


Khird-MandoN Se Kya Puchho Ke Meri Ibtida Kya Hai
 Ke MaiN Iss Fikra MeiN Rehta HooN, Meri Intiha Kya Hai,


Khudi Ko Kar Buland Itna Ke Har Taqdeer Se Pehle
 Khuda Bande Se Khud Poochhe, Bata Teri Raza Kya Hai

,
Maqam-e-Guftugu Kya Hai Agar MaiN Keemiya-Gar HooN
 Yehi Souz-e-Nafas Hai, Aur Meri Keemiya Kya Hai!


Nazar Ayeen Mujhe Taqdeer Ki GehraiyaaN Us MeiN
 Na Poochh Aiye Hum-NasheeN Mujhse Wo Chashm-e-Surma Sa Kya Hai,


Agar Hota Wo Majzoob*-e-Farangi Iss Zamane MeiN
 To Iqbal Usko Samjhata Maqam-e-Kibriya Kya Hai,


Nawa-e-Subahgahi Ne Jigar KhooN Kar Diya Mera
 Khudaya Jis Khata Ki Ye Saza Hai, Woh Khata Kya Hai!










No comments:

Post a Comment