waiz4u Shayari: Ek nagma ek taara ek guncha ek jaam-Ghulam Ali expr:class='"loading" + data:blog.mobileClass'>
Powered By Blogger

Monday, December 8, 2014

Ek nagma ek taara ek guncha ek jaam-Ghulam Ali

Ek nagma ek taara ek guncha ek jaam,
Ai gam-e-dauraaN gam-e-dauraaN tujhe mera salaam,

Zulf aawaara garebaaN chaak ghabaraayi nazar,
In dinoN ye hai jahaaN meiN zindagaani ka nizaam,

Chaand taare toot kar daaman meiN mere aa gire,
MaiN ne poonchha tha sitaaroN se tere gam ka maqaam,

Pad gayiN pairahhan-e-subah-e-chaman par salawateiN,
Yaad aa kar rah gayi hai bekudi ki ek shaam,

Teri ismat ho ke ho mere hunar ki chaandani,
Waqt ke baazaar meiN har chiz ke lagate haiN daam.






No comments:

Post a Comment