waiz4u Shayari: Isi ko pyaar kehte haiN-Hasrat Jaipuri Best Ghazal expr:class='"loading" + data:blog.mobileClass'>
Powered By Blogger

Tuesday, December 2, 2014

Isi ko pyaar kehte haiN-Hasrat Jaipuri Best Ghazal




Nazar mujhse milati ho to tum sharama si jaati ho,
Isi ko pyaar kehte haiN,isi ko pyaar kehte haiN,

ZabaaN khamosh ha lekin nigaaheiN baat karti haiN,
AdaayeiN laakh bhi roko adayeiN baat karti haiN,
Nazar nichi kiye daatoN meiN Ungli ko dabati ho,
Isi ko pyaar kehte haiN,isi ko pyaar kehte haiN,

Chhupane se meri jaanam kahiN kya pyaar chhupta hai,
Ye aisa mushk hai khushboo humesha deta rehta hai,
Tum to sab jaanti ho firbhi kyuN mujhko satati ho?
Isi ko pyaar kehte haiN,isi ko pyaar kehte haiN,

Tumhare pyaar ka aise humeiN izhar milta hai,
Humara naam sunte hi tumhara rang khilta hai,
Aur phir saza-e-dil pe tum humaregeet gaati ho,
Isi ko pyaar kehte haiN,isi ko pyaar kehte haiN,

Tumhare ghar meiN jab aauN to chhup jaati ho parde meiN,
Mujhe jab dekh na paao to ghhbrati ho parde meiN,
Khud hi chilman utha kar fir isharoN se bulaati ho.
Isi ko pyaar kehte haiN,isi ko pyaar kehte haiN,


Hasrat Jaipuri






No comments:

Post a Comment