Aaiye haath uthayeiN hum bhi
Hum jinheiN rasm-e-dua yaad nahi
Hum jinheiN soz-e-muhabbat ke siwa
Koi but, koi khuda yaad nahi
Aaiye arz guzareiN ki nigaar-e-hasti
Zehar-e-imaroz meiN shirini-e-fardaaN bhar de
Wo jinheiN taabe garanbari-e-ayyam nahi
Unki palkonN pe shab-o-roz ko halka kar de
Jinki aankhoN ko rukh-e-subah ka yaara bhi nahi
Unki rato1N meiN koi shamma munawwar kar de
Jinke qadmoN ko kisi raah ka sahara bhi nahi
Unki nazroN pe koi raah ujaagar kar de
Jinka din pairavi-e-kazbo-riya hai unko
Himmat-e-kufr mile, jurat-e-tahaqiq mile
Jinake sar muntazir-e-teg-e-jafa hain unko
Dast-e-qatil ko jhatak dene ke taufiq mile
Ishq ka sarr-e-nihan jan-tapan hai jis se
Aaj iqarar kareiN aur tapish mit jaye
Harf-e-haq dil meiN khatakta hai jo kaante ki tarah
Aaj izahaar kareiN aur khalish mit jaye.
No comments:
Post a Comment