Nawazish karam shukriya meherbani
Mujhe baksh di aapne zindagani,
Jawani ki jalti huyi do-peher meiN
Ye zulfoN ke saaye ghanere-ghanere
Ajab dhoop-chhaoN ka alam hai taari
Mehekta ujaala-chamakte andhere
ZameeN ki fiza ho gayi aasmani
LaboN ki ye kaliyaN khili adh-khili si
Ye maghroor ankheiN gulabi-gulabi
Badan ka ye kundan sunehra sunehra
Ye kadh he ki chhuti hui maahtabi
Hamesha salamat rahe ye jawani
Ye lehera ke chalne ki zalim adayeiN
FizayoN me shokhi ghuli ja rahi hai
Nazar kis tharaf bhi uthayi hai tumne
Udhar ek bijli giri ja rahi hai
Jise dheklo tum na mange wo paani.
No comments:
Post a Comment