Aaj un rastoN pe tanhai ki dhool udti hai
Jo tere naqsh-e-kaf-e-pa se saja karte the,
Gham hai ya khushi hai tu
Meri zindagi hai tu,
AafatoN ke daur meiN
Chain ki ghadi hai tu,
Meri raat ka chirag
Meri neend bhi hai tu,
MaiN khizaaN ki shaam hooN
Rut bahaar ki hai tu,
DostoN ke darmiyaaN
Vajh-e-dostii hai tu,
Meri saari umr meiN
Ek hi kami hai tu,
MaiN to Wo nahiN raha
HaaN! Magar wohi hai tu,
“Nasir” is dayaar meiN
Kitna ajnabi hai tu.
No comments:
Post a Comment