waiz4u Shayari: Phool to phool haiN_Best Urdu Ghazal By Wasim Barelvi expr:class='"loading" + data:blog.mobileClass'>
Powered By Blogger

Sunday, February 8, 2015

Phool to phool haiN_Best Urdu Ghazal By Wasim Barelvi




Phool to phool haiN aankhoN se ghire rehte haiN,
Kaante bekaar hifaazat me lage rehte haiN,

Usko fursat nahi milti ki palat ke dekhe,
Hum hi deewane haiN deewane bane rehte haiN,

Muntazir mai hi nahi rehta kisi aahat ka,
Kaan darwaze pe uske bhi lage rehte haiN,

Dekhna saath hi choote na buzurgoN ka kahiN,
Patte pedoN pe lage hoN to hare rehte haiN.



No comments:

Post a Comment