waiz4u Shayari: Ye bateiN jhuti bateiN haiN_IBN-E-INSHA GHAZAL expr:class='"loading" + data:blog.mobileClass'>
Powered By Blogger

Saturday, February 14, 2015

Ye bateiN jhuti bateiN haiN_IBN-E-INSHA GHAZAL


Ye bateiN jhuti bateiN haiN
Ye logoN ne phailayi haiN
Tum 'Inshaji' ka naam na lo
Kya inshaji saudai haiN,


Hai lakhoN rog zamane meiNN
KyoN ishq hai ruswa bechara
HaiN aur bhi wajhe wahshat ki
Insaan ko rakhti dukhiyara
HaaN bekal bekal rehta hai
Wo preet meiN jis ne dil hara
Par shaam se lekar subho talak
YuuN kaun phire hai awaara
Ye bateiN jhuti.........


Gar ishq kiya hai tab kya hai 
KyoN shaad nahiN abaad nahiN
Jo jaam liye bin chal na sake 
Ye aisi bhi ustad nahiN
Ye baat to tum bhi maano ge 
Wo kais nahiN farhaad nahiN
Kya hijr ka daru mushkil hai 
Kya Vasl muste yaad nahiN
Ye bateiN jhuti.......

Jo hum se kaho hum karte haiN 
Kya insha ko samjhana hai
Us ladki se bhi kehleinge 
Go ab kuchh aur zamana hai
Ya chhodeiN ya takmeel kareiN 
Ye ishq hai ya afsana hai
Ye kaisa gorakh dhanda hai 
Ye kaisa tanabana hai
Ye bateiN jhuti...

iNSHA JI





No comments:

Post a Comment