Aaina mujse meri pehli si surat maange
Mere apne meri hone ki nishani maange
MaiN bhatakata hi raha dard ke viraane meiN
Waqt likhta raha chere pe har pal ka hishab
Meri shorat meri diwangi ki nazar hui
Pi gayi may ki bolte meri geeto ki kitab
Aaj lauta hooN tu hasne ki ada bhool gaya
Yeh shahar bhoola mujhe meiN bhi ishe bhool gaya
Mera fan phir muje bazaar meiN le aaya hai
Yeh vo jagah ke jahaaN me roz wafa bikate haiN
Baap bikate haiN aur lakhte jigar bikate haiN
Kokh bikti haiN dil bikate haiN sar bikate haiN
Is badalti hui duniya ka khuda koi nahiN
Saste daamo pe yahan roz khuda bikte haiN
Har kharidaar ko bazaar mein biktaa paya
Hum kya paayenge kisi ne yahaaNkya paayaa
Mere aheshas mere phool kahiN aur chale
Bol pujaa meri bachi kahiN aur chale aur chale.
No comments:
Post a Comment