“Bade wasooq se duniya fareb deti hai
Bade khuloos se hum aitbaar karte haiN”
Ye dil ye pagal dil mera, kyoN bujh gaya aawargi
Is dasht meiN ik shahar tha, wo kya hua aawargi
Kal shab mujhe be-shakl si aawaaz ne chaunka diya
MaiN ne kaha tu kaun hai, usne kahaa aawargi
Ek tuu ke sadiyoN se mere, humraah bhi humraaz bhi
Ek meiN kii tere naam se, na-aashana aawaragi
Ye dard kii tanahaaiyaaN, ye dasht kaa viiraaN safar
Hum log to uktaa gaye apnii sunaa, aawaargii
Ik ajnabi jhonke ne jab, pucha mere gham ka sabab
Sehra ki bheegi ret par, maiNne likha aawargi
Kal raat tanha chaand ko, dekha tha maiNne khwaab meiN
“Mohsin” mujhe rass ayegi, shaayad sada aawargi.
No comments:
Post a Comment