Har ek chehre ko zakhmoN ka aina na kaho
Ye zindagi to hai rehmat ise saza na kaho
Na jaane kaun si majaburiyoN ka qaidi ho
Wo saath chhor gaya hai to bewafa na kaho
Tamaam shahar ne nezoN pe kyuN uchaala mujhe
Ye ittefaaq tha tum is ko hadasa na kaho
Ye aur baat ke dushman hua hai aj magar
Wo mera dost tha kal tak use bura na kaho
Humare aib hume ungaliyon pe ginwao
Humari peeth ke piche hume bura na kaho
MaiN waqiyat ki zanjir ka nahi qayal
Mujhe bhi apane gunahoN ka silsila na kaho
Ye shahar wo hai jahaN rakshhas bhi hai
Har ek tarashe huye but ko dewata na kaho.

No comments:
Post a Comment