waiz4u Shayari: Rahat Indori Ghazal expr:class='"loading" + data:blog.mobileClass'>
Powered By Blogger

Wednesday, October 8, 2014

Rahat Indori Ghazal

Intezamaat naye sire se sambhale jayeiN
Jitne kamzarf haiN mehafil se nikale jayeiN

Mera ghar aag ki lapatoN me chhupa hai lekin
Jab maza hai tere aangan me ujaale jayeiN

Gham salaamat hai to pite hi raheiNge lekin
Pehle maikhane ki haalat sambhale jayeiN

Khaali waqtoN me kaheeN baith ke roleiN yaaro
FursateiN haiN to samandar hi khangale jayeiN

Khaak me yuuN na mila zabt ki tauheen na kar
Ye wo aansoo haiN jo duniya ko baha le jayeiN

Hum bhi pyaase haiN ye ehasas to ho saaqi ko
Khali shishe hi hawaoN me uchhaale jayeiN

Aao shahr me naye dost banayeiN "rahat"
AstinoN me chalo saanp hi paale jayeiN.

 

       

No comments:

Post a Comment