Jo bhi dukh yaad na tha yaad aaya
Aaj kya janiye kya yaad aaya
Phir koi haath hai dil par jaise
Phir tera ahd-e-vafa yaad aaya
Jis tarah dhundh meiN lipte huye phool
Ek ek naqsh tera yaad aaya
Aisi majboori ke aalam meiN koi
Yaad aaya bhi to kya yaad aaya
Ey rafiiq sar-e-manzil jaakar
Kya koi ablaapa yaad aaya
Yaad aaya tha bichadna tera
Phir nahiN yaad ke kyaa yaad aaya
Jab koi zakhm bana daagh bana
Jab koi bhool gaya yaad aaya
Ye muhabbat bhi hai kya rog “Faraz”
Jis ko bhoole wo sada yaad aaya.
No comments:
Post a Comment