Aapko dekha to dekhta reh gaya,
Kya kaheiN aur kehne ko kya reh gaya,
Unki aankhoN se kaise chhalkne laga,
Mere hothoN pe jo mazra reh gaya,
Aise bichhde sabhi raat ke mod par,
Aakhiri humsafar raasta reh gaya,
Sochkar aao koo-e-tamanna hai ye,
Jaan-e-mann jo hyahaaN reh gaya reh gaya
Aziz Qaisi
No comments:
Post a Comment