Bekhudi besabab nahi ‘Ghalib’
Kuch to hai jis ki pardadari hai
Dil-o-mizshgan ka jo muqadma tha
Aj phir us ki rubaqari hai,
Phir usi bewafa pe marte haiN
Phir wahi zindagi humari hai,
Phir diya para-e-jigar ne sawal
Ek fariyad-o-ah-o-zari hai,
Phir huye haiN gawah-e-ishq talab
Ashqbari ka hukm zaari hai,
Phir kuch is dil ko beqarari hai
Sina zoya-e-zakhm-e-kari hai.
No comments:
Post a Comment