waiz4u Shayari: Ibn-e- Mariyam Huya Kare koi-Mirza Ghalib Ghazal expr:class='"loading" + data:blog.mobileClass'>
Powered By Blogger

Thursday, January 1, 2015

Ibn-e- Mariyam Huya Kare koi-Mirza Ghalib Ghazal

Ibn-e- Mariyam Huya Kare koi,
Mere dukh ki dawa Kare koi,

Shara -o-aaeiN par madaar sahi,
Aise qaatil ka kya kare koi,

Chaal jaise kadi kammaan ka tir,
Dil meiN aise ke ja kare koi,

Baat par waaN zabaaN kat-ti hai,
wo kahe aur suna kare koi,

Bak raha hooN junooN meiN kya kya kuchh,
Kuchh na samjhe khuda kare koi,

Na suno gar bura kahe koi,
Na kaho gar bura kare koi,

Rok lo gar ghalat chale koi,
Baksh do gar khata kare koi,

Kaun hai jo nahiN hai haajitmand,
Kis hi haajit rawa kare koi,

Kya kiya Khizr ne Sikander se,
Ab kise rehnuma kare koi,

Jab tawaqqu hi uth gaye Ghalib
KyoN kisi ka gila kare koi.







No comments:

Post a Comment