waiz4u Shayari: Na karta zabt maiN naala-Zauq Ghazal expr:class='"loading" + data:blog.mobileClass'>
Powered By Blogger

Tuesday, January 20, 2015

Na karta zabt maiN naala-Zauq Ghazal



Na karta zabt maiN naala to phir aisa dhuaaN hota,
Ki neeche aasmaaN ke aur naya ik aasmaaN hota,


Jo rota kholkar ji tangnaay-e-dehar me aashiq,
To ju-e-kehkashaN bhi falak khoo nawaaN hota,

Bagoola ghar na hota vadiy-e-vehshat me aiye majnooN,
To gumbad humse sargashtoN ki turbat par kahaaN hota,


Na karta zabt maiN giriya to aiye "Zauq" Ik ghadi bhar me,
Katore ki tarah ghadiyaal ke gark me aasmaaN hota




No comments:

Post a Comment