HothoN pe mohabbat ke fasaane nahiN aate
Sahil pe samandar ke khazaane nahiN aate
Sahil pe samandar ke khazaane nahiN aate
PalkeiN bhi chamak uthti haiN sote meiN humaari
AankhoN ko abhi khwab chhupane nahiN aate
AankhoN ko abhi khwab chhupane nahiN aate
Dil ujdi hui ek saraye ki tarah hai
Ab log yahaaN raat jagane nahiN aate
Ab log yahaaN raat jagane nahiN aate
Udne do parindoN ko abhi shokh hawa meiN
Phir laut key bachpan key zamane nahiN aate
Phir laut key bachpan key zamane nahiN aate
Is shehr key baadal teri zulfon ki tarah haiN
Ye aag lagate heiN bujhane nahiN aate
Ye aag lagate heiN bujhane nahiN aate
Kya soch ke aaye ho mohabbat ki gali me
Jab naaz hasino ke uthaane nahi aate
Jab naaz hasino ke uthaane nahi aate
Ehbaab bhi GhairoN ki ada seekh gaye haiN
Aate haiN magar dil ko dukhane nahiN aate
Aate haiN magar dil ko dukhane nahiN aate
Bashir Badr
No comments:
Post a Comment